Earn Money With Facebook.

make-money-468x60-2

Wednesday 12 September 2012

Zehar se bachaao ki dua.

Khaanay-Peenay me zehar se hifazat.

Kanzul'ibad me likha hai keh jab koi shakhs kuchh khaaway ya peeway to yeh dua padh lay. Is dua ki barkat se khaanay ke muzir asraat se mehfooz rahay ga.
Dua ka mafhoom: "Shuroo karta hoon me ALLAH ke us naam se jo sab naamo se achhaa hai.Shuroo karta hoon me ALLAH ke naam se jo zameen aor aasmaan ka rabb hai.Shuroo karta hoon us ALLAH ke naam se jis ke naam ke saath zameen aor aasmaan ki koi cheez nuqsaan nhi pahunchaa sakti, aor woh sun'nay wala aor jaan;nay wala hai.  

Is dua ke baaray me ek dilchasp hikayt

 "Abu-Muslim Khaolaani ki ek laondi(kaneez) thi. us ne apnay maalik ko ka'ee baar zehar dia lekin us par koi asar na huwa.kaafi muddat guzarnay ke baad laondi ne maalik se kahaa keh me ne ka'ee baar tumhain zehar dia lekin tum par koi asar na huwa,is ki wjah kya hai.maalik ne poochha keh tu ne mujhay zehar kiyoon dia tha? us ne kahaa keh is liay keh tum budhay ho ga'ay ho aor mujhay haddian pasand nhi hain.maalik ne kahaa keh me hamesha yeh pak klimaat apnay har khaana-peenay ki cheez par padh kar khaata-peeta hoon.isee ki barkat se mehfooz raha.aor saath hi us laondi ko aazad kar dia.

No comments:

Post a Comment